Mujhay appnay zabat pay naz tha

Mujhay appnay zabat pay naz tha sar-e-bazam-raat yeh kia hoa
meari aankh keasay chalak gai yeh hay gham kay bura hoa


***Meri zindagi kay charag ka yeh andaz koi naya nahi ***
kabhi teargi kabhi roshani na jala hoa na bhoja hoa


***Aap keun na mujh ko samjh sakay yeh appnay app say pochiay ***
meari dastan-e-hayat ka hay warq warq khula hoa


mujhay dushman-e-jaan bhi pukhta kar-jafa milla
na koi zarab galat lagi na koi nishana khata hoa


mujhay hamsafar milla bhi to sitam zareef meri tarah
kai manzlon ka thaka hoa kai raston ka luta hoa

By Amjad Islam Amajad

Re: Mujhay appnay zabat pay naz tha

nice one :)

Re: Mujhay appnay zabat pay naz tha

:k::slight_smile: :slight_smile:

Re: Mujhay appnay zabat pay naz tha

wah zabardast

Is Ghazal ko Nayyara Noor ki aawaz main sun kar to aur bhi maza ata hay

Thanks

Re: Mujhay appnay zabat pay naz tha

subhanAllah

asa shyad kar kisi ke sath hota hai......
khuda dil deta hai par kismat kudh likhta hai...

Re: Mujhay appnay zabat pay naz tha

hosla karin app to kafi diturb lag rahay hein:eek:

Re: Mujhay appnay zabat pay naz tha

thanx people for likin it :D

Nakhan i have never heared this ghazal by Nayra Noor or anyone
can you post it here?

Re: Mujhay appnay zabat pay naz tha

http://www.pakistanipopmusic.co.uk/latest-pakistani-songs/nayyara-noor-17/mujhay-apne-zabt-60163.htm

koshish karoo sunnay ki agar kamyaab ho gai to batana.

Take care

Re: Mujhay appnay zabat pay naz tha

kuch corrections bhi karni hoon gi us k baad tum ko apni is posted Ghazal main