**mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua**
**meri ankh kaisay chalak gai, mujhay gham ha yeh bura hua **
**meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin**
**abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua **
**mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila**
**na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua **
**mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla**
**kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita hua **
**mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah**
**kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua**
**mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm-e-khaloos hoon**
**na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa **
**ye jo sir jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi**
**meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa**
**mujhay ap kiyun na samajh sakay ye khud apnay dil se poochiye**
**meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula huwa**