mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua

mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua
**meri ankh kaisay chalak gai, mujhay gham ha yeh bura hua **

meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
**abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua **

mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
**na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua **

mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
**kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita hua **

mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah
kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua

mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm-e-khaloos hoon
**na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa **

ye jo sir jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi
meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa

mujhay ap kiyun na samajh sakay ye khud apnay dil se poochiye
meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula huwa

Re: mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua

Ye ghazal to jitni baar bhi parrhi jaey utni hi achi lagti hey. Thanx deep_ocean :)

Re: mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua

^ agree :)

Re: mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua

thanks :)

Re: mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua

its very beautiful!

Re: mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua

wah!

Re: mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua

**mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua **

wah bohat khoob :k: