sittara dhoondna hai
sittaroan say bharray is aasmaan kee woussatoan mein
mujhay apna sittara dhoondna hai
falak per kehkashaan dar kehkashaan ik baykaraani hai
na ous ka naam hai maaloom, naa koi nishaani hai
buss itna yaad hai mujh ko
azal kee subha jab saaray sittaray
alvidaa’ee gouftagoo kartay hooay rastoan pay niklay thay
to ous kee aankh mein ik aur taara jhilmilaaya thaa
ousee taaray kee soorat ka
meri bheegee hoee aankhoan mein bhi ik khwaab rehta hai
mein apnay aansoo’oan mein apnay khwaaboan ko sajjaata hooan
aur ous kee raah taktaa hooan
suna hai goumshudda cheezain
jahan pay khoee jaatee hain
wohein say mil bhi jaatee hain