Agar kuch naam dena ho
Mujhay insaan mat kehna
juda chahre , juda bay-shak sabhi k naam hote hain
Magar insaan k bhe yahan per daam hote hain
Mere tum daam mat dena
Mujhay yeh naam mat dena…
Agar kuch naam dena ho,
Mujahy ehsaas keh dena
Mager Thehroo !!!
Mujhay ehsaas mat kehna
Mera bas naam rah ja’ay , mujhay aisa nahi rehna
Mujhay ehsaas mat kehna…
Agar koi naam dena ho ,
Mujhay sawaan he keh dena
Magar thehroo !!!
Mujhay sawaan nahi kehna
Barasta hai magar Rut kay badaltay beet jata hai
Mujhay sawaan nahi kehna …
Agar kuch naam dena ho ,
Mujhay aansoo he keh dena
Janam layna kisi ke ankh main , rukhsaar per merna
Yehi is ke Haqeeqt hai
Chaloo aansoo he keh dayna
Magar dekho kisi ke aankh main mujh ko kabhi aanay nahi dena
K qeemat aansoo’n ke ab ada tum say nahi ho ge
Nahi tum youn nahi kehna
Mujay aansoo nahi kehna …
Mujhay aankhoo’n main basta ik hasse’n sapna he keh dena
Haqeeqat kuch nahi jis ke
Chalo sapna he keh dena
K sapnay aankh main taroo’n ke tarhaa jhilmalate hain
Magar thehroo !!!
Mujhay sapna nahi kehna …
[QUOTE]
Agar kuch naam dena ho ,
Mujhay aansoo he keh dena
Janam layna kisi ke ankh main , rukhsaar per merna
Yehi is ke Haqeeqt hai
Chaloo aansoo he keh dayna
Magar dekho kisi ke aankh main mujh ko kabhi aanay nahi dena
K qeemat aansoo'n ke ab ada tum say nahi ho ge
Nahi tum youn nahi kehna
Mujay aansoo nahi kehna ............
Mujhay aankhoo'n main basta ik hasse'n sapna he keh dena
Haqeeqat kuch nahi jis ke
Chalo sapna he keh dena
K sapnay aankh main taroo'n ke tarhaa jhilmalate hain
Magar thehroo !!!
Mujhay sapna nahi kehna ............