mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

kabhi dastaras mai jo waqt ho to tamam batain kaha karo
koi atay jatay na dekh lay, humay sub say chup kar mila karo

koi tum bhi taza sitam karo, yehi dard apna naseeb hai
nahi kuch gila, mujhay zakhm dou, kaha kis nay tum say wafa karo

meri jaan suno! zara ghoor say tumhay kah rahi hai ye chandani
chalay jub hawa sar-e-sham hi, to udaas yuu na huwa karo

ye tumharay honto’on par khamshi ka sakoot bhi to bhala nahi
kay tumhara lehja hai khusboo’n sa, gulaab bun kar khila karo

meray rabt say bhi ho munha’rif, meray naam say hi guraiz kyu?
chiray zikar jub bhi chah ka, zara hoslay say suna karo

ye kaha to tha mai nay barha, tumhay yaad hai kisi mour par
kay tum hi to ho meri zindagi, mujhay khud say yuu na juda karo

meray pass jitna nisaab hai inhi chahtoo’n ka hissab hai
ye tumharay gham ki kitaab hai isay dehaan say to parha karo

raho khush tabasm tum sada, mujhay chor dou meray haal par
mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

Nice. :k:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

bus nice :asa:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

kabhi dastaras mai jo waqt ho to tamam batain kaha karo
koi atay jatay na dekh lay, humay sub say chup kar mila karo

koi tum bhi taza sitam karo, yehi dard apna naseeb hai
nahi kuch gila, mujhay zakhm dou, kaha kis nay tum say wafa karo

awww kaisee mutazaad soach hey g

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

jo bold thay khali woh parhnay thay na :halo:

raho khush tabasm tum sada, mujhay chor dou meray haal par
mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

talaash na bhi ho dua tou honi chahiyey

zabardast shab :k:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

lagta hai ghazalon ka printing press laga hai :bummer:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

Good One Shab-e-Hijar..:k:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

:)

Ajj kaal buhat he zabardast qisam kay dukhiya choice post hoo rahee hai koi masla tu nahee Shab:) P.S Very very nice choice:) *

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

jee janab bas kehnay hee wala tha keh, hum nahee dartay kisi say bhala hum kyun chup chup ker milain.

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

buhat khoob :k:

thanks for sharing

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

buhat umda!

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

bechary poet nay ek shair khushi aur ek udasi mai likha hoga isliye :chai:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

woh kasay :aq:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

thanks every1 :flower1:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

beautiful sharing...........thanks

2 Likes

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

bohot zaberdast :k:

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

Zabardassttt Shab.. :k:
Thnx for Sharing.

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

Buhat Hee Aalaa Sharing ... Thanks 4 sharing shabz :~)

Re: mujhay ab talash-e-wafa nahi meray wastay na dua karo

kya baat hei shabbo- sitam dhaa rakha hei aap ne in dino ek se badh ke ek intekhab ke saath :k: