**mujh pe kion is tarah hansta hai
dil bari mushkilon se basta hai
mere gaaon main ghar hain sab kachay
aray badal kahan barasta hai
jo kabhi loat ke nai aaye
un se milny ko dil tarasta hai
aashqi ka muqaam kia hoga
jahan ulfat ka bhaao sasta hai
tere janay ke bad janay kion
har koi shaks mujh pe hansta hai
mere manzil jisay samjh baithy
wo meri khawahishon ka rasta hai
dost kehti hai us ko kion Mahrukh
jo tujhay har qadm pe Dasta hai
(Mahrukh Zaidi)**
Azad
July 25, 2011, 3:00pm
2
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai....
hummm
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai....
hummm
jee appp
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai…
nice :k:
Azad
July 25, 2011, 3:05pm
5
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai....
na to akhir tum ko MOD banaya kiss ne?? patane main kiya hai?
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai…
thanks
ap ko bilkul nai bataon gi
Azad
July 25, 2011, 3:08pm
7
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai....
bata do to acha hay hum oss ke khilaf dharna dain ge. nahi to sari sari raat tum dono ko baduain dain ge.
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai…
ya Allah…
Azad bhai ap ko aisi kia shikayat ho gai mujh ghareeb se
Azad
July 25, 2011, 3:16pm
9
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai....
Q tumhara apna bhai tumhari badzoqi daikh kar samadar par chala giya hay? hum kisi ke bhai nahi hain khass kar tum jaise badzoq makhloq ke. ghazab khuda ka tum ko MOD daikhna bhi naseeb main lekha tha.
Dharnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnna
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai…
Q tumhara apna bhai tumhari badzoqi daikh kar samadar par chala giya hay? hum kisi ke bhai nahi hain khass kar tum jaise badzoq makhloq ke. ghazab khuda ka tum ko MOD daikhna bhi naseeb main lekha tha.
Dharnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnna
acha acha nai kehti ap ko bhai..waisy bhi ap ki umar ke logon ko uncle kehna ziada munasib hai
dharna dene ke kuch asool o qawaneen bhi hotay hain
Azad
July 25, 2011, 9:13pm
11
Re: mujh pe kion is tarah hansta hai....
Hummmmmm to logon ki umar ko dhaik kar mod banaya gya tha. ...