mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya.

**mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya.
tum kiyon udas ho gaey kiya yaad aa gaya?

kehny ko zindagi thi boht mokhtasir magar,
kuch yun basar hoi k khuda yaad aa gaya.

barsy bagaer hi jo ghatta aa ky nigal gai,
aik bewafa ka ahd-e-wafa yaad aa gaya.

yun chonk uthy wo soon kar mera shikwa,
jesy unheN bhi koi gila yaad aa gaya.

hairat he tum ko dekh kar misjid main ae!ghalib,
kiya baat ho gai jo khuda yaad aa gaya.**

Re: mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya.

**hairat he tum ko dekh kar misjid main ae!ghalib,
kiya baat ho gai jo khuda yaad aa gaya.

wah :k: kia ye waqai Ghalib ka kalam hai, ya un se mansoob kar dia gaya hai
**

Re: mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya.

kuch yun basar hoi k khuda yaad aa gaya.
.....

Wah boht he aaalaaaaaaaaa..................

Re: mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya.

good one fari