Mujh ko maloom nahin hijar ke qatil lamhay
**
Tu ne kis aag main jal jal k guzaray hon ge**
**
kabhi lafzoon main thakan tu ne samaiti ho gi**
**
kabhi kaghaz pe faqat ashk utaray hon ge**
**
ye bhi mumkin hai ke guzra huwa lamha lamha **
**
jis ko main aaj bhi seenay se laga rakhta hoon**
**
teray nazdeek faqat yaad ki parchai ho**
**
duur ki jaisay teri iss se shanasai ho**
**
jis tarah dhoop december ki dareechay se lagi **
**
be irada kahin angan main utar aai ho **
**
jaisay mehfil main kisi shakhs ki tanhai ho**