ub woh manzar na woh chehrey hi nazar aatey hein
mujh ko maloom na tha, khwaab bhi mar jaatye hein
jaaney kis haal mein hum hein ke humein dekh ke sub
eik pal ke liey ruktey hein, guzar jaatey hein
saaqia tu ne tu meykhaaney ka yeh haal kia
rand ub mohtasib-e-sheher ke gunn gaatey hein
taana-e-nasha na do sub ko ke kuch sokhta jaan
shiddat-e-tashna labi se bhi behek jaatey hein
jesey tajdeed-e-taa’alukk ki bhi rut ho koi
zakhm bhartey hein tu ghum khwaar bhi aa jatey hein
ehtiat ehl-e-mohabbat, ke issi sheher mein log
gul badast aatey hein aur pa ba-e-rasn jaatey hein
Azad
2
taana-e-nasha na do sub ko ke kuch sokhta jaan
shiddat-e-tashna labi se bhi behek jaatey hein
Wah … dil ka ajab haal howa :k:
Re: ~Mujh ko maloom na tha, khwaab bhi mar jaatey hein~
very nice :k:
ub woh manzar na woh chehrey hi nazar aatey hein
mujh ko maloom na tha, khwaab bhi mar jaatye hein
wow:) ... apni duniya app paida kar agar zindouN maiN hay
khwaab kee duniyaa say bahir nikal ghaafil aye insaaN kay haqeeqi chehray sirf aankh kholnay kay baad dikhaayee detay haiN...
Wah...so beautiful amber...
bahot achhi ghazal hai.
thanks for sharing &Passionate