mujh ko is gardish-e-dauraa'N se bachaa lo jaanaa'N

mujh ko ik baar to seeney se lagaa lo jaanaa’N
mujh ko is gardish-e-dauraa’N se bachaa lo jaanaa’N

mere guzrey huwe kal ne to mujhey luuT liyaa
mujh ko aatay huwe lamho’N mai chhupaa lo jaanaa’N!

meri naakaam umeedo’N ki paRhii hai jo ye laash
mere aagay se kisii taur haTaa lo jaanaa’N

gham-e-furqat meiN jhulastii huii raateiN beetiiN
ab to aaghosh-e-tavajjo meiN sulaa lo jaanaa’N

is se pahle k muhabbat ho hamaarii rusvaa
aaj jaise bhi ho bas paas bulaa lo jaanaa’N

ye taqaddus, ye rasoomaat-o-aqaaid kya haiN?
khud ko in “ghor andheroN” se nikaalo jaanaa’N!

log haNste haiN jo mujh par to chalo yuuN hi sahii
meri haalut ka tum tau na mazaa lo jaanaa’N!

haaye ‘tanhaa’ na vo din haiN, na vo raateiN baaqii
jab vo kehte thai “mujhe apna banaa lo jaanaa’N!”

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa’N se bachaa lo jaanaa’N

Nice :k: P_G

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa’N se bachaa lo jaanaa’N

beautiful :k:

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa’N se bachaa lo jaanaa’N

Bohat Khoob P_G..:k:

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa'N se bachaa lo jaanaa'N

Very nice!

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa’N se bachaa lo jaanaa’N

Bohat aala sharing :k:

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa'N se bachaa lo jaanaa'N

Epic

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa’N se bachaa lo jaanaa’N

Zabardast :lajawab:

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa’N se bachaa lo jaanaa’N

Nice1 :k:

Re: mujh ko is gardish-e-dauraa'N se bachaa lo jaanaa'N

shukriya