Muje aur kahin le chal sanwal

**Jahan raat kabhi b soyi na ho
Jahan subah kisi pe roi na ho
Jahan hijer ne wehshat boi na ho
Jahan koi kisi ka koi na ho

Muje aur kahin le chal sanwal

Jahan sheher hon saare weerane
Jahan log sabhi hon begaane
Jahan sab k sab hon deewane
Jahan koi hamen na pehchane

Muje aur kahin le chal sanwal

Jahan nafrat dil main bas na sake
Jahan koi kisi ko dus na sake
Jahan koi kisi pe hans na sake
Jahan koi b gunjal kass na sake **

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

beautiful.. one of my fav by Farhat Abbas :k:

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

nice sharing :k:

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

Mujhe aesi jagah le chal sanwal. Par sadde kol koi sanwal hei nahi, meinu kaun le jayega :(

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

nice sharing nokia :)

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

mukarer nokia n70.

best,
Dushwari

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

Salaam
aap sab ka boht shukriya !
JW aap ko kahan jana hai tell me shyad main aap ke kuch madad kar sakun !

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

very nice
one of my fav

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

Bohat khoob Nokia..:k:

Re: Muje aur kahin le chal sanwal

nice 1