Muje Apni Uddasi ki waja pata nahi hai

***Muje Apni Uddasi ki waja pata nahi hai
Aise Bhi Mera Dil Kahee’n Mubtila Nahi hai

Apne awara mizaj par itna yaqeen hai Muj ko
Wo Lakh bura sahee Likin bewafa nahi hai

Gumaa’n ki Dhund bhot thee us ki Muhabbat par
RAB pe yaqee’n hua to ab Koi Gila Nahi hai

Dekhoo’n to har cheez main USS ki shabeeh dekhoo’n
Sochoo’n to koi ek bhi USS jesa nahi hai

USS ke door honay ka andesha Kyun ho Muje
Muhabbat ki hai main nay USSAY pooja nahi hai

Suno logo Koi aur USS ki taraf na aaye Ab
Meri Manzil hai WO koi Rasata nahi hai***

Re: Muje Apni Uddasi ki waja pata nahi hai

Bahut khoob … babri …:k:

Re: Muje Apni Uddasi ki waja pata nahi hai

nice sharing

Re: Muje Apni Uddasi ki waja pata nahi hai

Muje Apni Uddasi ki waja pata nahi hai
Aise Bhi Mera Dil Kahee’n Mubtila Nahi hai

:hinna:

Re: Muje Apni Uddasi ki waja pata nahi hai

hmmm nice one

Re: Muje Apni Uddasi ki waja pata nahi hai

buhut khoob :)