mujay yeh zidd nahin meray galay ka haar ho jao
aklay choor dena tum jahan bayzaar ho jao
Bohat jaldi samaj mein aanay lagtay ho zamany ko
bohat asaan ho thoori bohat dushwaar ho jao
mulaqatoun mein wafa hona iss leyay zaroori hia
k tum aik din judai k leyaay tayaar ho jao
mein chalchalati dhoop k sehrah se aaya houn
tum bass abb aisa karo saya diwaar ho jao
tumray pass denay k leyaay jhooti tasali ho
na ayaay aisa din tum iss kadar nadaar ho jao
tumein maloom ho ja ay ga k kaisay ranj sehtay hein
meri itni dua hia k kaash tum fankaar ho jao