Ay dost tari ankh jo purnam hai to mujahay kiya
Main khoob hansson ga tujahay gam hai to mujahy kiya
Kiya mainay kaha tha ka zamanay say bhala kar
Aab tu behi saza wara sitam hai to mujahay kiya
Haan lay lay kasam gar mujahay katra behi mila hoo
Tu shah ke arbab karam hai to mujahay kiya
Jis dar say nadamat kay sawa kuch nahi milta
Us dar par tar sir behi jo kham hai to mujahay kiya
Mainay tu pukara hai mohabat kay ufak say
Rastay main taray sanga haram hai to mujahay kiya
Bhoola tu na ho ga tujahay Sukrat ka anjam
Hathoon main taray saghara sum hai to mujahay kiya
Pathar na parain sara bazaar to kahna
Tu marfat husan sanam hai tu mujahay kiya
Main Sarmad o Mansoor bana hoo tari khatir
Ya behi teri umeed say kam hai tu mujahay kiya