Muhabbaton ka pata chaly ga

Re: Muhabbaton ka pata chaly ga

**sunaa hai usako mohabbat duuaayein detii hai
jo dil pe Chaut to khaaye magar gilaa na kare

**

Re: Muhabbaton ka pata chaly ga

Thanks Pakiiza for introucing this nice piece of poetry. Here is the text of poem:

Wafa ka poda shajar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga
Naseeb uska samar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga

Had-e-Jaan se Guzar hua to Mohabbton ka pata chalega,
Koi Mohabbton ki Nazar hua to Mohabbton ka pata chalega.

Ye kia Bicharna k Sham hotay he apnay pairon pe laut aana,
Kabhi jo lamba Safer hua to Mohabbton ka pata chalaega.

Abhi to phirtay ho Doston main Koi Juda nahi hua hai,
Koi Idhar se Udhar hua to Mohabbton ka pata chalega.

Abhi Mohabbat nahi hui hai, isilye Muskra rahai ho,
Kisi ki bahon main Ghar hua to Mohabbton ka pata chalaega

Yeh khushnaseebi hai shehr bhar mai tumhara dushman koi nahi hai
Kabhi kisi ka jo dar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga

Wo jis ki khatir zamanay bhar ko bana rahay ho tum apna dushman
Wohi na apna Agar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga

Re: Muhabbaton ka pata chaly ga

Thank you,,,

Re: Muhabbaton ka pata chaly ga

nice sharing pakiza :k: