**
kaisay vo lout aay kay fursat ussay naheen
dunya samjh rahee hay muhabbat ussay naheen
lagta hay aa chukee hay kame us ke chah main
kafee dinon say mujh say shikayat ussay naheen
dil ke zameen us ke hay banjer isse liay
jazboon ke barishon ke aadat ussay naheen
har chez ikhtiar main rakhta hay vo magar
dil say riaahe panay pay qudrat ussay naheen
us pay zamana rang jamata be kis tarah
herat kaday main rah kay be herat ussay naheen
sehra kay har varq pay hay tahrer us ka nam
kal tak jo kah raha tha kay vahshat ussay naheen
**