Mohabbat tum nay kab ki hay?
Mohabbat main nay ki hay Jaan-e-Jaan tum se
Tumhari arzoo se
Jis kay raisham se tumhari surmai khushboo nay girhain baandh rakhi hain
Yeh girhain haath ki pooron main aa aa k phisalti hain magar
khulti nahiin Janaan!
Tilsam-e-khamshi tootay to yeh girhain bhi khul jain
Jo ankhain hijr ki mitti main mitti horahi hain woh bhi dhul jain
Mohabbat tum nay kab ki hay!
Mohabbat main nay ki hay
Tum nay to bas khamoshi ki oak main rakh kay
Kuch apnay lams kay misray meray dil main utaray hain
Lab-e-namm saaz kay naam main kai nazmain bigho kar meray shanay par bikheri hain
Mohabbat tum nay kab ki hay!!
Mohabbat main nay ki hay
Tum nay to apni aankhon, door tak israar main doobi huie
Aik shaam jessi sard aankhon main mujhay tehleel karna tha
So main aik bay wuqat lamhay ki tarah
Ab tak tumharay paon ki mitti say lipti hoon
Na to tum nay paon ki mitti ko jhatka hay
Na to is bay wuqat o bay maya lamhay ko paishani par rakha hay
Tumhari khamooshi ki oak main meray liyey kia hay!
Sabhi kuch hay magar iqrar ki jhilmil nahi hay
Samndur mo’jazan hay magar sahil nahi hay
Mohabbat tum nay Kab ki hay!
Mohbbat main nay ki hay Jaan-e-Jaan tum se
Tumharay Rung se
Rungoon ki duniya se
Tumhari khoobsorat guftugoo kay khas jadoo se
Tumahray munfarid lehjay ki gehri dhundh se
Is dhund kay andar thithartay jhoot sach se
Jhoot sach aur maslehat se
Maslehat ki sabz kaaie se
Kay jis kai ki geeli sard sateh par
Meri is umar kay sardar lamhay sabt thay
Aur ab hawa main khuwab ban kar urh rahay hain
Meri is umar kay sardar lamhay ab jinhain teray labo rukhsar
Ki aab-o-hawa sab se bay dakhal kar dala hay
Teri sard mehri nay
Magar phir bhi!
Na janay kiun, najanay kiun, yeh dil yeh zard mitti main gondha dil
Kiun teri bay mehruion ki khoojh main rehta hay
Kiun akhir?
**Tumhain maloom hay akhir…
**
**Yeh bay wuqat sa dil ab bhi tumharay paon kay nakhun se kion
**
Har baar chilta hay!
Tumhain maloom hay Janaan
Mohabbat tum nay kab ki hay
Mohabbat main nay ki hay…