Muhabbat se bhi nafrat hogaee hai !!!

Muhabbat se bhi nafrat hogaee hai
Humein yeh kaisi wehshat hogaee hai

Fana kar daloon khud ko aur sab ko
Yeh kaisi meri fitrat hogaee hai

Jahaan matlab waheen chaahat hai miltee
Tijaaray se muhabbat hogaee hai

Kisi per zindagi qurbaan kar dain
Woh chaahat aik hasrat hogaee hai

Bhula betha hoon mein tujh ko abhi se
Yeh mujh se kaisi ghaflat hogaee hai

Mujhe wehshat thee jis dewangi se
Wohi ab meri kismat hogaee hai

wah !!!

Beautiful

Beautiful.... thanks for sharing

touchy

Urdu

Azad

touchy ke urdu nahi aatee kiya...?

zabar10 arif bhai....thx for sharing

Re: Urdu

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Azad

touchy ke urdu nahi aatee kiya...?
[/QUOTE]

Tanzz hay sokhta janoN pe gharajtay badal
yeh to ghangor ghatayin na uTha ya barsa

humain apni kamaygi ka ihsaas hay ... sharminda hain keh bawajood koshish key koi dhang ki baat keh nahi patay or aap logon ko naghwari e taba ka bojh sehna paRta hay.

ab aatay hain rabnawaz jee ki kawish ki taraf ... Nawaz jee ka hunar apni misal aap hay ... Dilon ko chona or chu ke khushbu ho jana to koi in se seekhay. ba-khuda apni zaat main kayfiyat e gulsetaan hain.

kisi Bhalay kalam .. araz kartay hain

Main ne her chand gham e ishq ko khona chaha
Gham e ulfat gham e dunia main somona chaha

Wahi anfasanay meri simt rawan hain ab tak
Wahi shulay meri seenay main penhan hain ab tak

Wahi bay soud khalish hay meray seenay main honooz
Wahi be kaar tamanayin jawan hain ab tak

(Tasleem)

Galti

Azad galti hoo gayee Azad say panga anjam phir wo he urdu....

Lolzzzzzzz

jabardus:k:

Re: Re: Urdu

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

ab aatay hain rabnawaz jee ki kawish ki taraf ... Nawaz jee ka hunar apni misal aap hay ... Dilon ko chona or chu ke khushbu ho jana to koi in se seekhay. ba-khuda apni zaat main kayfiyat e gulsetaan hain.
(Tasleem)
[/QUOTE]

Azad ji aap ne itna kuch keh diya hai ke mein kya kahoon... Dil ko khushi huwi yeh jaan kar !

Thanks a lot for your appreciation :)

Nice, Thanks for sharing :)

bohut khoob arif jee:k::k:

Re: Galti

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Azad galti hoo gayee Azad say panga anjam phir wo he urdu....
[/QUOTE]

haha .......
Janaab ye ghaltee aap per buhat bharee hogayi aeinda yaqeenan mein bhee khayaal rakhoon ga aur 'kissi' ko bhee 'Tabba Azmayi' ka muqa nahin don ga........

**Jahaan matlab waheen chaahat hai miltee
Tijaarat se muhabbat hogaee hai

Kisi per zindagi qurbaan kar dain
Woh chaahat aik hasrat hogaee hai
**

Buhat khoob janaab
very realistic :k:

Thanks all :)

beautiful :k: :k:

:frowning: Very nice :k: :k:

Thanks ** *** Vivacious *** and
HeArT HaCKeR ** :)