Yun tau zindagi mein kaye log atay hain, ache bhi aur bure bhi … Magar itne sare logoon mein koi aik shaks koi aik chehre hamare leye mash’all-e-raah hota hai … Hamari kamyabi, nakaami, khushi, gham, dukh sukh sab ussi aik shaks se waabasta hote hain … Chahay woh shaks humein mile na mile ya humein bhool hi kyon na jaaye … Ussi aik shaks ki muhabbat aur ehmeyyat taa-umer barqaraar rehti hai … Ussay kabhi bhulaya nahe jasakta …
Adeem Hashmi ki yeh ghazal issi ehsaas ki tarjumaani karti hai … ap sab ki nazar …
***Sar-e-sehra musaafir ko sitara yaad rehta hai
Tumhara zarf hai tum ko muhabbat bhool jaati hai
Humein tau jis ne hans kar bhi pukaara yaad rehta hai
Muhabbat aur nafrat talkhi aur sheereni
Kis ne kis tarah ka phool maara yaad rehta hai
Muhabbat mein jo dooba huwa ussay saahil se kya laina
Kissay is behar mein ja kar kinaara yaad rehta hai
Bahut lehroon ko pakra doobnay walay ke hathoon ne
Yehi bas aik darya ka nazaara yaad rehta hai
Sadaayain aik si, yasaneyyat mein doob jaati hain
Zara sa mukhtalif jis ne pukaara yaad rehta hai …