MUHABBAT KUCH NAHI HOTI....!!!!

*Mujh ko wo aksar kehta tha, Muhabbat kuch nhi hoti,* * Hijar ka khauf be-matlab,* * Wasal kay khwab be-mani,* * Nighahon mai koi surat,* * kahan din rat rehti hai,* * Usay kion khamoshi kahiay,* * kay jis main bat rehti hai,* * Wo ankhain kaisi hoti hain,* * Jahan barsat rehti hai,* * Yeh ansu be-zuban ansu,* * Bhala kya bol saktay hain,* * Aur uski narm palkon par* * Nami din raat rehti hai,* * Muhabbat kuch nahi hoti,* * Magar* * Jab aj barson bad,* * Main ny usko dekha hai,* * Kay uski jheel ankhon main,* * Hijar ka khauf rehta hai,* * Wasal kay khwab rehtay hain,* * Wahan barsat rehti hai,* * Yun lagta hai kay barson say,* * Wo soya bhi nahi shayad,* * Yun lagta hai kisi ki yad barson say* * Usay din raat rehti hai,* * Aur uski narm palkon kay* * Haseen saye bhi geelay hain,* * Aur uski khamoshi aisi* * Kay jis main bat rehti hai,* * Mujhay ab wo nahi kehta,* * MUHABBAT KUCH NAHI HOTI....!*

Re: MUHABBAT KUCH NAHI HOTI…!!!

:lajawab: really nice

Re: MUHABBAT KUCH NAHI HOTI…!!!

toooooooo good…awesome…:lajawab:…it really touched my heart…

Re: MUHABBAT KUCH NAHI HOTI…!!!

Bohat Khoob Elaaf..

Re: MUHABBAT KUCH NAHI HOTI....!!!!

Nice Sharing

Re: MUHABBAT KUCH NAHI HOTI....!!!!

Thanx alot Punajbi kuri, Neha,** A*ryaan nd **S*aqi_the_angel.......

Re: MUHABBAT KUCH NAHI HOTI....!!!!

bohat khoob elaaf

Re: MUHABBAT KUCH NAHI HOTI....!!!!

thanx..... :)