Agar kabhi mairi yaad aae
tu chand raaton ki dilgeer roshni main
kisi sitare ko dekh laina
agar voh nakhl-e-falak se urr ker tumhare qadmon main aa gire tu yeh jaan laina…
voh isstaara tha maire dil ka
agar na aae?..
magar yeh mumkin hi kis tarhan hai ke kisi per nigah daalo
tu uss ki devar-e-jan na toote
voh apni hasti na bhool jae!!!
agar kabhi mairi yaad aae
guraiz kerti hava ki lehron pe hath rakhna
main khushboon main tumhain milon ga
mujhe gulabon ki pattion main talash kerna
main oos qatre ke aaine main tumhain milon ga
agar sitaron main, oss khuahboon main
na pao mujh ko
tu apne qadmon main dekh laina
main gard hoti musafaton main tumhain milon ga
kaheen pe roshan charagh dekho tu jaan laina
ke har patange ke sath main bhi sulag chuka hon
tum apne hathon se un patangon ki khak darya main daal daina
main khak ban ke samandar main safar karon ga
kisi na dekhe hue jazeere pe ruk ke tumhain sadain don ga
samandaron ke safar pe niklo
tu uss jazeere pe kabhi utarna!!!
By:
Ajmad Islam Amjad