http://i35.tinypic.com/14nhag7.jpg
Judai aa chuki janaan …!
Wohi lamha
Ke jis se umer bhar nazrain churaaye
Pyar ki duniya sajaaye
Be-panaah sapnay sajaaye
Aas ki chaadar bichaaye
Wasl mein hum kho gaye thay …
Aaj woh ghareyaan guzar jaana hi chaahati hain
Hamare pyar ki lareyaan bikhar jaana hi chaahati hain
Hamari be-basi dekho
Bhala yeh kaun samjhay ga?
Juda hona nahe chaahatay
Magar Janaa !!!
Jo qismat ka likha hai woh mitaye se nahe mit’ta
Dil-e-Nadaan mera ab tau hansaye se nahe hansta
Yehi dastoor-e-duniya hai
Ke ab tau hijar ki raatain muqaddar hogaeen janaan
Yehi woh hijar hai
Jo ab humein pal pal satayega
Rulaayega
Teri yaadoon se ay hamdam
Hamari dil jalaayega
Magar hum ko khabar hai ke
Tumhare hijar ki raatain bhi hum ko raas aayengi
Ke woh raatain teri yaadoon ko apne saath layengi
Suno ay be-khabar mere !!
Ke is daur-e-muhabbat mein
Bas itna jaan paayee hoon
Muhabbat karnay waloon ka
Muqaddar hijar hota hai …