Muhabbat ka Souvenir

Aik aanchal se bandha hai sab kuch

aik tasweer aur tasweer pe bheege huye hont
aik sandal ki unaabi pencil
aik beyrabt sa ukhra hua khat
aik adad card
jis ko chooney se teri yaad chali aati hai
aur is card main rakhi hui akloti palak
jis say maanoos duaaon ki mahak aati hai

kisi gumnaam say shaair ka adhura misra
aik paazaib say bichra hua ujla mouti
aik murjhai hui zard chanbali ki kali
jis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain

aik boseeda sa question paper
jis kay konay peh likha naam abhi taaza hai
sharbati kaanch ki tooti hui naazuk choori
aik toota hua halka sa gulabi naakhun

aik gadla sa tissue paper bhi
jis peh mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hain

yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera
aik aanchal say bundha hai sab kuch!
aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch

(Wasi Shah)

Re: Muhabbat ka Souvenir

bohat khooooob

Re: Muhabbat ka Souvenir

Nice one Muqawwee :k: