dekh muhabbat ka dastoor
tu mujh say, mein tujh say door
tanha tanha phirtay hein
dil weeraa’n aankhein bay-noor
dil ki dharkan kehti hai
aaj koi aaey ga zaroor
koshish laazim hai pyaaray
aagay jo us ko manzoor
sooraj doob chala naasir
aur abhi manzil hai door …![]()
~GuLon se Khaar Behtar Hein Jo Daaman Thaam Letay Hein~