****Mujhay tumsay muhabbat hu gayee thee Kay tum apnay akelay pan ka dukh lay ker
Meray rastay main aye thay Tumhari ankh say tanhayee ka azar behta tha To mainay tumko un cheroon ki qurbat baksh di Aisay manazir tum pay roshan ker diye Jin per basarat naaz kernay kay bahanay dhoondhti hay Tumhari guftugu mayoos sannatooN ka jungle thee So mainay tumko aisi mehfilooN main awaleeN saf main bithaya Aisay logon say milaya Jahan hoontooN ki junbish nujawaN qisoon main dhelti hay, QehqahooN ki rasm chalti hay Tumhain apni sama’at say bhe shikwa tha Kay tum nay naghmgi kay din nahi dekhay Herf ko awaz kay pehloo main khawabeedha nahi paya So main bhee gungunati subh ki manind lehjoon ko Tumharay zoaq ki mehroom khilwat main bula laya Kayee ras gholati shameiN
Tumhari rooh main baydaar ker dalein
**
Magar hona wahi thaa
Ju talaq jornay waloon ka dayrena muqaddar hay Gusihsta raat tumnay mujhko baymasruf samagh ker apnay HangamooN ki janib he nazar rakhi Lehaza abb ijazat do Meray rastay ki janib ghoar say dekho Wu dekho ek dermandha musafir
Meri qurbat kay liye baychain lagta hay Tum uski aankh say tanhayee ka aazar behta dekh saktay ho Aur uski guftugu mayoos sannatooN ka jungle hay Issay apni sama’at say bhee shikwa hay Mujhay iss say muhabbat hu gaye hay