Lagay hain shamma per pehray zamane ki nigahoon ke
Jinhain jalnay ki hasrat hai woh parwane kahan jayain
Sunaana bhi jinhain mushkil chupana bhi jinhain mushkil
Zara tu hi bata ay dil woh afsaane kahan jayain
Nazar mein uljhanain dil mein hai aalam beqarari ka
Samajh mein kuch nahee ata sukoon pane kahan jayain
Muhabbat hogaee jin ko woh deewane kahan jayain …
Bhari duniya mein aakhir dil ko samjhane kahan jayain …