Muhabbat ham-safar meri

Nazam ki aik apni Nazam

Kathhin hai zindagee kitni
Safar dushwaar kitna hai
Kabhi paaou’n nahi’n chaltey
Kabhi rastaa nahi’n miltaa
Hamaara saath dey paaey
Koi aisaa nahi’n miltaa
Faqat aisey guzaaroo’n tou
Yeh rouz-o-shab nahi’n kat’tey
Yeh kat’tey thay kabhi pehlay
Magar haa’n ab nahi’n kat’tey
Mujhey phir bhi meray Maalik
Koi shikwaa nahi’n tujh sey
Mei’n her dukh jhail sakti hoo’n
Mei’n jaa’n per khail sakti hoo’n
Agar tuu aaj hi ker dey
Muhabbat ham-safar meri

bahut khoob!

Masha Allah..... this is simply great

Keep it up beautifully written.... thanks for sharing

Excellent.Are you sure is it your very own?

Xcellent :k::k::slight_smile:

aray wah , dil moh lia,
wasay nazam mohabbat ka safar aik bazat-e-khud kathan marhala hay... well keep it up hamsafar bhi mil hi jiay ga :D kia pata..