Muhabbat ham ney kaha ki
Muhabbat to tum ney ki hai
Han sach kehtey ho
Muhabbat ham ney kaha ki
Muhabbat ka hamen tareeqa nahin
Muhabbat ka hamen shuaar kahan
Hamari nazar mein muhabbat kahan
Hamarey dil mein itna pyar kahan
Sach kehtey ho
Muhabbat to tum ney ki hai
Tumhari rahon mein
Intizaar k deep jalaye baithey rahey
Charag to bujh gaye balaakhir
ham jaltey rahey
har guzarti saat k sath
hamarey arman jaltey rahey
lekin kisi k intizaar mein jalna
muhabbat to nahin
muhabbat ham ney kaha ki hai
muhabbat to tum ney ki hai
ik tumhen paney ki khuahish mein
kya kya nahin thukraya ham ney
zameen to ban gai thi dozakh
hamarey liye
asman ko b jalta paya ham ney
ik tumhen pana chaha
ye khuahish thi
sab ganwa baithey
ye hasil hua
lekin kisi ko paney ki chahat
muhabbat to nahin
muhabbat ham ney kaha ki
muhabbat to tum ney ki hai
sach kehtey ho
muhabbat to tum ney ki hai
please reply???![]()