~ Muhabbat Hai ~

Muhabbat hai
Thetharti aabsharon main bujhi thandi hava sehna
Shabon kay gumbadon main goonjti be-chainion kay darmian rehna
Har aik mosam ko apnay androoni mosamon ki zad main lay aana
Kabhi mil kay kisi say
Bay-khabar, aadhay samandar tak safar kerna
Kabhi tanha kisi saahil pay aakay dair tak lehroon ko gin’na
Aur khala main dekhtay rehna
Muhabbat hai
Kisi khoay hoye ko gair-iraadi tor per
Har ajnabi chehray main aksar dhoondtay rehna
Hamaisha be-khayali main
Kitabon, chaand taaron, baadlon per
Usskay baray main jhilmilati baat likh daina
Ya phir likh kay mita daina
Kabhi rangon ki lehron per
Usse be-sout hoonton say sada daina
Sada ko baaz-gasht aur goonj main dhal ker
Khalaon say tahi-daman palat’tay dekhna
Aur phir sada daina
Muhabbat hai
Main kia likhon
Kabhi aaisa bhi hota hai
Bohat hi rooth ker naraaz hokar
Na-pasandeeda khayalon, nafraton ki oot say
Ya mukhtalif hailon bahanon say
Kisi ko jhaanktay rehna
Kisi ko soochtay rehna
Voh maanay ya na maanay, bus usse likhna
Usse kehna
Muhabbat hai

Re: ~ Muhabbat Hai ~

its awesome thnx for sharing

Re: ~ Muhabbat Hai ~

buhat achay

Re: ~ Muhabbat Hai ~

nice:)

Re: ~ Muhabbat Hai ~

bohat he zabardust nazam................
simply Awesome!!!!
:)

Re: ~ Muhabbat Hai ~

Thank you all ...