Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

Abhi ikhtiyaar hai to ye aalam hai
Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

:hmmm:

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

ham tab bhii qazaa hii moHabbat karte! :D

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

qaza ke time pe qazaa ada karti.. Abrahim Zauq ki qaz wali ghazal to yaad hogi aap ko?

Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

shudder

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?


haN bhai, apnii Khushii se aaaye, na apnii Khushii se chale...AUR...apne iKhtiyaar se na hii moHabbat kii aur na hii iskaa Khaatma bil Khair!

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

ye aap ka takkiya kalaam hai?


haN bhai, apnii Khushii se aaaye, na apnii Khushii se chale...AUR...apne iKhtiyaar se na hii moHabbat kii aur na hii iskaa Khaatma bil Khair!
[/QUOTE]

Apni khushi se aye apni khushi se chale? Mohabat Kia park hoti hai?
Mohabat to one way street hai without any u-turn,
Lazmi nahi ke manzil milay na Milay bas chalte hi Jana hai

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

na jii, na! inkaa yeh ‘masnad e kalaam’ hai :cb:

Jee :blush:

Btw, maiene wo drama dekha Jo apne kal kisi thread Mai post Kia tha.

Masnad? :hmmm:

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

wow. how did you find that. Fana Fillah and Ishq e Haqeeqi o Majazi

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

takiya = pillow, masnad = bed

Jee wohi, and I realize right now I’m fana fi duniya.

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?


aurat shaadi se pahle mard ko aurat moHabbat chamanistan hii banaa ke pesh kartii hai, bechaaraa mard baGhair soche samjhe us chaman meN ghus jaataa hai...phir shaadii ke ba'd anjaam e gulistaaN vohii KhizaaN jaisaa hotaa hai...

...har shaaKh pe ulloo [aashiq] baiThaa hai, anjaam-e-gulistaaN kia hogaa!

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?


hayeN? yeh masnad bed kab se ho gayaa? Kinzz ko samjhaa rahe haiN yaa GS kii aam public ko? :D

Bohot afsos howa apki story sun ke :snooty:


hayeN? yeh masnad bed kab se ho gayaa? Kinzz ko samjhaa rahe haiN yaa GS kii aam public ko? :D
[/QUOTE]

Aik min ke liye maine Socha bhi ke agar masnad pillow hai to apne takiya kalam Ki Jaga madsand kyu kaha? When they both are same

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

yeh kaun sii naii istilaaH iijaad kii hai? waah, subHaan Allah!!! :slight_smile:

yeh sirf merii story nahiiN hai bal k saare jahaan ke aashiqoN kii hai! :smiley:

Gisay pitay aashiq kahen,

Re: Muhabbat Farz hoti to kiya hota?

are baba…masnad = gaao takiyaa = bahot baRii sii takiyaa jo goli aur lambii hotii hai jis par nawaab log chaandnii par Tek lagaa kar baiThte the…


Restored attachments: