Sitaray jo damaktay hain
kisi ki chashm-e-hairaan main
Mulaqaatain jo hoti hain
jamal-e-abr-o-baaraan main
Yeh na-abad waqtoon main
dil-e-nashaad main hogi
muhabbat abb naheen hogi
yeh kuch din baad main hogi
guzar jayain gay jab yeh din
yeh un ki yad main hogi