Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

Re: Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

yeh aap ki post bhi ehlan k barabar hi hai na

Re: Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

sirf Mazaron per hi kiyun ilan kia jae.. siasi parties ko bhi kath’haRe main khaRa karo.. so called liberals, secular, religious all parties.. Poora Karachi Jhandon se bhara paRa hai.. 300-400 ka ek jhanda bunta hai :snooty:

Re: Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

jo kharcha jhandon pe aata hai,wohi kisi muflis ka tan dhanpnay k leay hi kaafi hai

Re: Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

aap loog uss par sher bana kar post kar dain mujhay to yahi acha laga hay :barbie:

Re: Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

:hmmm:

Maang Raha hai her Insaan
Roti, kapRa aur makaan
siyasi parties ka fitte munh
jhandon se bhar di bastiyan aur qabristan

Re: Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

naheen bilkul baywazan sher hay :barbie:

Re: Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

wazan ka itna hi khyal hai to Iftari ke baad Filmazia pe Pashto movie dekh lena :snooty:

Re: Muflis kay badan ko bhi hay chadar key zaroorat

Sir fmazaron per hee kyun, Raiwind kyun nahin, awam ka loota howa kuch toh inn ghareebon koh dey dein.