Bahut hi muddat k baad kal jab
Kitab-e-Mazi ko main ny khola
Boht se chehrey nzar main utray
Bahut se namo’n pe dil paseeja
Ik aisa safa bhi us main aaya
Likha hua tha jo aansoon se
K jis ka unwaan ‘HUMSAFAR’ tha
Woh safa sub se mo’tabar tha
Kuch aur aansoo phir us pe tapkay
Phir uss se aagay main parh na paaya
Kitab-e-Mazi ko bund ker k
Uski yaadon main kho gaya main
Agar woh milta tu kaisa hota…?
Inhi khayalon main so gaya main…!!
Restored attachments:
