Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
*Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad,
Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad
*Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad,
Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
*Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad,
Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
*Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad,
Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad…!!!