aap log bhi sooch rhai hon gai kis baat ke mubarakbaad! aray qissa kuch youn hai kai Chandini aor Ramu masha Allah se aik adddad sehtmand kattai kai waldain ban gai hain. iss se qabl aap poochain kai ye dunu kon hain, hum khudh he apke ye mushkil asaan kur daitai hain. Chandini hamare chaheete bhens ka naam hai, aor Ramu unkai shuhar-e-namdar hain. ab mushkil ye pare hai kai chon kai nomoulood abhi he is dunya mai tashreef lai hain issleye ab unka naam bhi rakhna hu ga. aab sanh se iletejaa hai kai jaldee jaldee achai achai naam batain.. Allah jazar dai ga
Re: Mubarak Hu
kitne ghalat baat hai, aap log hamare khushe mai shareek he nahe hona chahtai!![]()
Re: Mubarak Hu
mashallah sahil yeh toh bohot achi khabar ahi
mubarak ho :)
naam rakho Chanda :D
Re: Mubarak Hu
apko bhi mubarak ho, nahe chandaa tu RaajDularee (Bhens number 15) kai shoohar ka naam hai. :( koe aor naam batain.
Re: Mubarak Hu
uhhhhhhh hmmmmmmm
thinking soching very hard
larka hai yah larki?
larka toh bolle munna
larki toh bole gulabi
Re: Mubarak Hu
wah KAALAI rang ke GULABI tu humnai pehlai dafa sunna!! kahe aaap bhi tu …
![]()
wesse humarai zehn mai Channo aaaya tha pehlee dafa. kaisa rahai ga??
Re: Mubarak Hu
ab mujhe kiya pata tha keh bhens ka rang kaalai hia??
haan CHANNO acha nam hai aap ki nai bhens keh liye:D
Re: Mubarak Hu
Acha janaab phirse aap koh dher sari mubarak baad ![]()
ab hum chalte hian
in nazuk aankhonkoh bhi araam chaiya hai
Allah Hafiz ![]()
Re: Mubarak Hu
haan CHANNO acha nam hai aap ki nai bhens keh liye:D
haan ye acha rhai ga
hum usko wo gana bhi sunna saktai gaa kur channo ke aankh mai ikk nashaa hai
wesse bhens KAALI he hote hai
Re: Mubarak Hu
kaliya rhak leyn
![]()
Re: Mubarak Hu
haan wesse bhi adhi raat hu chukke ho ge wahan pur. Allah HAfiz
Re: Mubarak Hu
nahe rakh liyaa naam tu ab. yani Channo.