MU ki baat sunay hay koi
dil kay dard ko jaanay kon
aawazon kay baazaron main
khamoshe pahchanay kon
sadion sadion wohe tamasha
rasta rasta lambe khoj
lakin jab ham mil jaatay hain
kho jaata hai jaanay kon
wo maira aaina hai aur
main us ki parchai hun
mairay hi ghar main rahta hai
mujh jaisa hi jaanay kon
kiran kiran alsaata suraj
palak palak khulte neendain
dhemay dhemay bikhar raha hai
zarra zarra jaanay kon