Mozu-e-sukhan

gham-e-hijraaN ki jab kabhi baat howi hai
mozu-e-sukhan sirf teri zaat howi hai

tum bin tamaam mosam bayrang say lagay
chayay bahaar aayiee ya barsaat howi hai

teri aas main zindagi kuch yuun guzar gayiee
janay kab din dhala, kab raat howi hai

saansain meri mashroot hain teray ziker say
jo baat howi hai, teri baat howi hai

gham-e-janaN, gham-e-hijraN, gham-e-doraN bhi
goya zindagi aalaam ki baraat howi hai

tum bhi mujhay dekh kar nazrain chura gaye
yah kiya ajab gardish-e-halaat howi hai

us say kiya gila “A Dost” bay-wafaayiee ka
dunya hi kuch aisi khurafaat howi hai

My best friend is my tears
as they never leave me alone

:k:

Thanx Waday logo :frowning: