motii pirota rahega !!!

jo iis shor se ‘Meer’ rotaa rahegaa
to ham-saayaa kaahe ko sotaa rahegaa
meii’n vo ronewaalaa jahaa’N se chalaa huu’N
jiise abr har saal rotaa rahegaa
mujheii kaam rone se hardam hai naasih
tuu kab tak mere muu’Nh ko dhotaa rahegaa
base giriyaa aaNkhei’in terii kyaa nahii’n heii’n
jahaa’N ko kahaa’N tak Duboo’taa rahegaa
mere dil ne vo naalaa paiidaa kiiyaa haii
jaras ke bhii jo hosh khotaa rahegaa
tuu yuu’N gaaliyaa’N Ghair ko shauq se de
hamei’n kuchh kahegaa to hotaa rahegaa
bas ae ‘Meer’ mizhGaa’N se pon’chh aaNsu ko
tuu kab tak ye motii pirotaa rahegaa …!!!

Mir Taqi Mir !!!

--------*

Beautiful Sharing Adeel..:k:

thnx Aryaan Bro !!!

very nice :k:

thnx Shab-e-Hijr !!

Re: motii pirota rahega !!!

Bohat khoob

thnX Tere Naam !!!