Mother in law's boyfriend

Re: Mother in law’s boyfriend

Reha, dunyaa meN aisaa koii masalah yaa beemaarii nahiiN jiskaa koii Hal/'ilaaj na ho…bas use aapko talaash karnaa hotaa hai…

…mausoofah ke shauhar ko is baat kaa 'ilm hai lihaaza unko hii yeh chaahiye k iskaa koii Hal talaash kareN…bahoo ko beech meN paRne kii koii zaroorat nahiiN…yeh mo’aamila Khaatoon, unke shauhar aur unke beTe ke beech hai…

…is darmiyaan, OP ko chaahiye k apne shauhar se israar kareN k vo unheN kisii aur rihaaish meN le jaayeN kiuN k unkii vaalidah ke kartoot dekhnaa aur jhelnaa unke liye mushkil hii nahiiN bal k naa_mumkin hai.