being lonely, your selection is simply superb :k: Wesey to saari ghazal hi bohat khoobsoorat hey, but I like the above quoted sheir very much. Thanx for sharing it with us
kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rahta hai yuun hi qarz baraabar mera
baavafa tha to mujhe poochne vaale bhi na the
bewafa huun to hua naam bhi ghar ghar mera
Kitney Mousam Sargardaan They Mujh sey hath Milaney Main
Main Ney Shayed Dair kar di khood sey bahar Aaney Main
~~~~~~
Ik nighah ka san’nata hai ik aawaz ka banjar pan
Main kitna tanha betha hoon qurbat kai veeraney Main
~~~~~~
Bistar sey karwat ka Rishta Toot gaya ik yaad kai sath
Khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney Main
~~~~~~
Aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai
Jis ney be had ujlat barti khilney aur mujrjhaney Main
~~~~~~
Baat bananey wali ratein rang nikharney waley Din
Kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney Main
~~~~~~
Aik malal ki gard sametey main ney khood ko paar kia
Kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney Main
~~~~~~
Jitney dukh they jitni umeedein,sab sey brabar kaam lia
Main ney apney ainda ki ik tasweer bananey Main
~~~~~~
Aik wazahat kai lamhey main mujh par ye aehwaal khula
Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney Main
~~~~~~
Pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata Tha
Ab Tou bikhar jata hoon main khood ko behlaney main