Momin Bazaban e Nayyara

asar usko zara nahin hota
ranj rahat faza nahin hota

tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya main kya nahin hota

narasai se dam ruk to ruk
main kisi se khafa nahin hota

tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota

hal-e-dil yar ko likhun kyon kar
hath dil se juda nahin hota

kyon sune arz-e-muztarib ae ‘Momin’
sanam akhir Khuda nahin hota

(Momin Khan Momin)

Re: Momin Bazaban e Nayyara

tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota’

One of my Fav sher :lajawab: aur aaj main nay poori ghazal bhi parh li :khumar:

Re: Momin Bazaban e Nayyara

Ye Chacha Ghalib ka bhi favourite shair hai, jis ke liye wo apna pura Deewan Momin ke naam karne ke liye tayar hogae the.

Re: Momin Bazaban e Nayyara

Agar kar bhi daitay o naam tou mashhori to unn he key honi thi :cobra:

Re: Momin Bazaban e Nayyara

Ji bilkul ghalib ne bachpan main golian zaroor kheli thin per wo kachi goliyan na thin

Re: Momin Bazaban e Nayyara

Woh jo hum mein tum mein Qaraar tha tumhein yaad ho k na yaad ho
Wohi yaani Wada Nibah ka tumhein yaad ho k na yaad ho

Woh Naye gily Woh shikaayatein Woh mazy mazy ki Hikayatein
Woh har ek baat pay Ruthana tumhein yaad ho k na yaad ho

Koi baat aisi agar hoi jo tumhare ji ko buri lagi
To bayaan se pahale hi bhoolna tumhein yaad ho k na yaad ho

Suno zikr hai kai saal ka koi Wada mujh se tha aap ka
Woh Nibaahane ka to zikr kya tumhein yaad ho k na yaad ho

Kabhi hum mein tum mein bhi chaah thi kabhi hum se tum se bhi Raah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay Ashna tumhein yaad ho k na yaad ho

Hue Ittefaq se gar baham Woh Wafa jataane ko dam-ba-dam
Gilaa-e-malaamat-e-Arqabaa tumhein yaad ho k na yaad ho

Woh jo Lutf mujh pay the beshtar Woh karam ke Haath mere Haath par
Mujhe sab hain yaad zara zara tumhein yaad no k na yaad ho

Kabhi Baithe sab hain jo Roo-ba-Roo to Ishaaraton hi se Guftaguu
Woh Bayaan Shauq ka Baramalaa tumhein yaad ho k na yaad ho

Woh Bigarnaa Wasl ki Raat ka Woh na maanana kisi Baat ka
Woh nahin nahin ki har aan Ada tumhein yaad ho k na yaad ho

Jise Aap Ginty thay Ashna Jisy aap kahaty thay Ba Wafa
Mein Wohi hun Momin-e-Mubtala tumhein yaad ho k na yaad ho


Re: Momin Bazaban e Nayyara

golian paki he hoti hain Bhai :hmmm: warnah Kunchay khailtay hoye pahli tuk pil par toot jain :cobra:

Re: Momin Bazaban e Nayyara

Lekin kuch china ka maal bhi hota hai na.. waise kia yaad dila dia kunchay. :frowning:

Re: Momin Bazaban e Nayyara

:smack2:
Bachpan key din aur woh kunchay
jub hum bhi hotay thay chotay chotay bachay
:hat: abhi abhi aamad hoi hay :omg:

Re: Momin Bazaban e Nayyara

Wah Ghalib e Sani wah.

Ab zara Momin ki doosri ghazal ke bare main rae dejiye khasoosan:

Woh Bigarnaa Wasl ki Raat ka Woh na maanana kisi Baat ka
Woh nahin nahin ki har aan Ada tumhein yaad ho k na yaad ho

:wub:

Re: Momin Bazaban e Nayyara

One of my favorite ones :k: