Pathar mujhey kehta hai mera chahnay wala
May mom hoon usnay mujhey choo kar nahi daykha
Shaid koi lakeer mujh se cheen lay usay
Is khauf say woh hath mera daykhta nahi
Tu badalta hai to beysakhta meri ankhen
Apnay hathon ki lakeeron say ulajh jati hain
Tehro zara si dair, safar umr bhar ka hai
Ek shaks araha hai mujhey dhoondta hua
–commi.
Zabar10
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
Registered & Officially
— Pangay Baaz —
Rude Boyz Rulez
first and third are nice. :)
~Mere hathoon ki lakeeroon ke izaafe hain gawah
main nae pathar ki tarha khud ko tarasha hai bohat~
OoOoOoO
**smile**
[quote]
Originally posted by X_Communist:
**~~Pathar mujhey kehta hai mera chahnay wala
May mom hoon usnay mujhey choo kar nahi daykha~~
~~Shaid koi lakeer mujh se cheen lay usay
Is khauf say woh hath mera daykhta nahi~~
~~Tu badalta hai to beysakhta meri ankhen
Apnay hathon ki lakeeron say ulajh jati hain~~
~~Tehro zara si dair, safar umr bhar ka hai
Ek shaks araha hai mujhey dhoondta hua~~
--commi.**
[/quote]
Dekhanaa sab Raqs-e-´Bismal meiN magan ho jaayeNge
Jis taraf se teer aaigaa udhar dekhegaa kaun
Wo hawas ho yaa Wafaa ho baat Mehroomi ki hai
Log to Phal-Phool dekheNge ,shajjar dekhegaa kaun
Daiyaar-e-MagHrib se jaane walo!daiyaar-e-Mashriq ke BaasioN ko
Kisi gHareeb-ul-Watan Musafir ki ChaahtoN ka salaam kehnaa
Hamaare Shaam-o-Sehar ka keya Haal poocHte ho ke lam'haa lam'haa
Naseeb in ka bana rahe haiN tumhaare hi Sub'ho Shaam kehnaa
[This message has been edited by Tassneef (edited June 22, 2002).]