Mujhey zindagi sey gila raha,
Magar ley chali kahan zindagi,
Jahan aansuon ki kami nahin,
Daaman hua mera taar taar zindagi key haathon sey,
Magar ley chali kahan zindagi,
Jahan patharon ki kami nahin,
Rahe-e-mudaton sey talaash kartey zindagi key sakoon ko,
Magar ley chali kahan zindagi,
Jahan chingariyon ki kami nahin,
Beech samandar,
Doob gaye saahil sey door,
Tamasha dekh kar,
Zer-e-lab muskura uthi zindagi