Mohsin Naqvi

har ik zakham ka chehra gulab jaisa hay,
magar yeh jaagta manzar bhi khawab jaisa hay,

yeh talakh sa lehja,yeh talakh si baat,
mizaj-e-yaar ka alam sharab jaisa hay,

mera sukhn bhi chaman dar chaman shafaq ki phuwar,
tera badan bhi mehektay gulab jaisa hay,

barra taveel,nehayat haseen,buhat mubham,
mera sawal tumharay jawab jaisa hay,

tu zindagi kay haqaiq ki teh main yun na utar,
kay is naddi ka bahao chanab jaisa hay,

teri nazar hi nahin hurf aashna warna,
har ik chehra yahan par kitab jaisa hay,

chamak uthay tu samandar ,bujhay tu rait ki lehar,
meray khayal ka darya sarab jaisa hay,

teray qareeb bhi ro kar na paa sakon tujh ko,
teray khayal ka jalwa hibab jaisa hay,

Zabardust :k:
Thanx for sharing !

Wah
:k:

Re: Mohsin Naqvi

bohat khooob :k:
thanks for sharing :slight_smile:

Re: Mohsin Naqvi

Bohat khoobsoorat ghazal hey:k:…thanx for sharing King:slight_smile:

Buhat Buhat Shukriya Aap Sab ka :)

Re: Mohsin Naqvi

Beautiful :k:
Mohsin is an amazing poet!

excellent choice:k::k:

thx capri And Ghazal