Baaghi mei aadmi se na munkir khuda ka tha
darpesh masla’a meri apni ana ka tha
gumsum khada tha ek shajar dasht-e-khauf mein
shayad wo muntazir kisi aandhi hawa ka tha
apnay dhun’we ko chorr gaya aasman par
bujhtay huwe diye mei ghuruur inteha ka tha
dekha to wo haseen laga saaray shaher mein
socha to wo zaheen bhi zalim bala ka tha
lehra raha tha kal jo sir-e-shaakh be-libaas
daaman ka taar tha ke wo parcham saba ka tha
ussko ghilaaf-e-ruuh mei rakha sambhaal ker
Mohsin wo zakhm bhi to kisi aashna ka tha
~mohsin naqvi~