Main kiya likhooN?
mohabbet kainaati wusattoN sey bhi
kahin aagey ki la-mahdood wusat hai
kissi chehray ko aankhooN aur khawboN ki dua per naksh kerna
us k barey main soochna
aur apni hur khwahish ko us zaat tak mahdood ker laina
Mohabbet hai..
Thaturti aabsharooN main
shubooN kay gunbudooN main goonjti bay-chainiyooN kay durmiyaan rehna
hur aik mousam ko apney underooni moasumooN ki zud main lay aana
kabhi mil kay kissi sey
bay-khabur, aandhey samundur tak safar kerna
kabhi tanha, kabhi sahil pe aakay dair tak lehrooN ko ginNa
aur khula main daikhtey rehna
Mohabbet hai..
kissi khoey howey ko ghai-iradi toor per
hur ajnabi chehray main aksur dhoondtey rehna
hameesha bay-khayali main
kitabooN, chaand tarooN, baadlooN per
us k barey main jhilmilati baat likh daina
ya phir likh kay mita daina
Mohabbet hai..
kabhi hawa ki lehrooN per
ussey bay-awaaz hountoN sey sada daina
sada ko baazgusht aur goonj main dhul ker
khulao’oN sey tahidamun palutey daikhna
aur phir sada daina
Mohabbet hai..
main kiya likhooN?
kabhi aisa bhi hota hai
bohat hi rooth ker, naraaz ho ker
na-pasundeeda khayaalooN sey, nafruttooN ki oot sey
ya mukhtalif hailoo bahanooN sey
kissi ko jhanktey rehna
kissi ko soochtey rehna
wo maney ya na maney bus ussey likhna, ussey kehna
*Mohabbet hai.. *