Mohabbet k mousam

Mohabbet k mousam
Zamaney k sab mousamooN sey niraaley
Bahaar-o-khizaaN in ki sab sey juda
Rang in ka sookha, alag hai ghataa
Mohabbet k khittey ki aab-o-hawaa
Mawaraa un anasir sey jo
MousammooN k tafseer ki bunyaad hain
Ye zamaan-o-makaan k kam-o-baish sey aisey azaad hain
Jisey subha-e-azal jaisey shaam-e-fana
Shab-o-rooz aalam k ehkaam ko
Ye mohabbet k mousam nahi maantey
Zindigi k musafat k anjaam ko
Ye mohabbet k zamaney nahi maantey
Rafakat ki khushboo sey khali ho jo
Ye koi aisa munzar nahi daikhtey
Wafa k ilaawa kissi kaam koY
Ye mohabbet k mousam nahi maantey…

nice one vivayee :k:

Zabar dast

Hum ko kiya maloom mohabat ka mosum
Hum nay tu wasal ko behi haijar he piya hai

by: Dilsay

^ bohat acha shair hai Dilsay… :k:


Thanx HH… :slight_smile:

very nice Vivo.Ty for sharing.

:k:

^ Thanx... :)

khoobsorat :~)

Awsome :k:

Thanx.. :)

bohut khoob:k::k:

Re: Mohabbet k mousam

Kal Barish ho gi k nahi Lahore mien ?

nice one thanx for sharing :k:

^ THANX GKK… :slight_smile:

================

aur Umar, ye lahore kahan sey tapak para darmiyaan main? :rolleyes:

bahot achcha vivo :)

eskellent post :k:

:k: :slight_smile:
vivo :k:

laajawab...

^ Thanx, daagh, Saby, shiza & assweetas... :)

Mausam ki aur aab-o-hawa ki baat ho rahi thi na is liye poocha thah k lhr mien barish ho gi k nahi :hehe: waise aaj barish buhat hui hai :slight_smile:

Nice 1