~ MOHABBATON main..~

Slamzz..

Mohabbaton main har aik lamha wisaal ho ga, Ye tay howa tha
Bichar k bhi aik doosray ka khiyaal ho ga, Ye tay howa tha


Wohi howa na, badaltay mosam main tum nay ham ko bhula dia hay
Koi bhi rutt ho, na chahtoon ko zawaal ho ga, Ye tay howa tha


Ye kia ke saansen ukhar gai hain safar k aghaaz hi say yaroo
Koi bhi thak ker na, raastay main nadhaal hoga,Ye tay howa tha


Juda howay hain tu kia howa, phir yehi to dastoor-e-zindagi hay
Ke judaiyoon main bhi na qurbatoon ka malaal ho ga, Ye tay howa tha


Chalo ke FAIZAAN kashtiyoon ko jala dain in gumnaam saahiloon per
Ke ab yahan say na waapsi ka sawaal ho ga, Ye tay howa tha


PraYerSS>>>:)