tum kehtay ho
tumhay mujh say mohabbat hai
tum zindagi ki her mor per
meray hamra raho gey
meri rahoon mein
phool nichawer ker do gey
meray abro ki jumbish per
jaan nichawer ker do gey
tum kehtay ho
tumhara ishq pinho aur farhad si siwa hai
mujhy yaqeen hai meray humnasheen
magar mein phir bhi
apnay dil kay dareechay tum per bund rakhoon gi
mujhay itifaqat per bhi yaqeen hai
magar mein is say bhi to anjan nahi
aur kia tum nahi janty kay
mohabbatien hamesha adhori rehti hain
Dekh Ruswaee ka sauda hai ab na kabhi
Itnni shiddat say kisi shaks ki chaahat karna,
raahaygi shama-e-wafa yunhi ta abaad roshan
ghazal kay roop main jeenay ka hosaala rakhna!
Per kya zaroori hai ke Muhabbat mukkammal ho?
Aap ko tu pata hai na ke muhabbat kahaan aur kis wakt mukammal hogi… Tu bas intezaar karain us wakt ka… ! Inshallah aap ko sabr ka inaam zaroor milega.. Udaas hone ke din nahee hain Lamhay G !